शनिवार, 26 नवंबर 2011

sachaa pyaar...................

1 din mujhse kaha bhagwan ne
mat kar intezaar is janam me uska,milna mushkil hai

maine bhi keh diya lene de maza intezar ka,agle janam me to mumkin hai.

fir bhagwan ne kaha:
mat kar itna pyar bahut pachhtayega.

muskura k maine kaha:
dekht hai tu kitna meri ruh ko tadpayega

Fir bhagwan ne kaha:
hata use, chal tujhe jannat se milata hu.

Maine kaha: aa niche dekh mere pyar ka muskurata chehra,tujhe jannat ki apsara bhulwata hu.

gusse me bhagwan ne kaha:
mat bhul apni aukat tu to ek insan hai.

maine kaha :
to mila de mujhe mere pyar se aur sabit kar ki tu hi bhagwan hai...


मंगलवार, 4 अक्तूबर 2011

Waqt


Waqt
 
Jo kisi ka intezaar nahi karta,
 
Waqt
 
Jo kisi ka nahi hota
 
Waqt
 
Jo bas chalta rehta hai.
 
Waqt
 
Jo har second, har minute, har ghante, har din, har hafte, har mahine, har saal, har sadi........ bs chalta rehta hai.
 
Waqt
 
Jo kabhi thakta nahi.
 
Waqt
 
Jo kabhi thehrta nahi.
 
Waqt
 
Jo kaisa bhi ho humein kaatna padta hai
 
Waqt
 
Achha aata hai
 
Waqt
 
Bura aata hai
 
Waqt
 
Jo sab kuchh badal deta hai
 
Waqt
 
Jo bahut kuchh chheen leta hai.
 
Waqt
 
Jo khatam nahi hota
 
Waqt
 
Jo kabhi nahi marta
 
 
Waqt
 
Jiske bina kuchh bhi nahi hota
 
 
Waqt
 
Jo dard deta hai.
 
 
Waqt
 
Jo khushi deta hai.
 
Waqt
 
Jo kabhi laut kar nahi aata.
 
 
 
Kya hai yeh WAQT????
 
Kyun hai yeh WAQT???
 
Pyaar mein WAQT tezi se guzarta hai, Magar wahi WAQT tanhaai mein itna kamzor kaise ho jaata hai/???
 
Jab WAQT kisi apne ke saath to Bhaagta hai, Magar wahi WAQT akele mein kyun nahi door jaata ????
 
Kyun yeh WAQT baar baar kisi ki yaad dilaata hai???
 
Kyun yeh WAQT guzar jaane ke baad afsos karaata hai????
 
Kyun yeh WAQT kabhi laut kar nahi aata ????
 
 
Kyun?????