शनिवार, 7 मई 2011

Meri Tasweer Mein Rang Kisi Aur Ka To Nahi

meri tasweer main rang kisi aur ka to nahi
ghaer-len mujh ko sab aankhein main tamasha to nahi

zindagi tujh se har ek saans main samjootha karoon
shauqh jeene ka hai mujh ko, magar itna to nahi

chehra dekhon to qad-o-qaal badal jaatey hain
chup ke aainey ke peechey, koi baitha to nahi

kis ki mitti ko nachatey hain hawaoon key bhawar
koi aawara wehshat hai, bagola to nahi.

rooh ko dard mila, dard ko aankhein na milien
tujh ko mehsoos kiya hai, tujh ko dekha to nahi

meri aankhon main tere naqsh-o-qadam kaise hain
is saraye main, musafir koi tehra to nahi

sochte sochte dil doobne lagta hai
zehen ki teh main muzaffar koi darya to nahi.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें